itana hi paryapt hai tu apane aap ko janle,
antartam ki kamiya apne tu hi teri manle
kon kisko samza saka hai kon samza paega, har waqt ek naya prashna tuze tadpaega
swayam khoj me nirmit uttaro ko janle.
raah kisne khoj li aakash ke us par ki,tu na ab parwah kar dhar ki mazdhar ki
rakh bharosa antarbal me naav jal me daal de.
marg ki bhadae tu chunauti sweekar kar,de nimantran aaj tu vipadao ko lalkar kar
ravi kirano ko raj naye swarth ka arghya de